tera aanchal ishaare de raha hai
tirā āñchal ishāre de rahā hai
falak raushan sitāre de rahā hai
havā sahlā rahī hai us ke tan ko
vo sho.ala ab sharāre de rahā hai
khule haiñ phuul har-sū jaise koī
tirā sadqa utāre de rahā hai
guzarne vaale kab the hijr ke din
magar āshiq guzāre de rahā hai
junūbī asia ko jaise 'akbar'
ye din koī udhāre de rahā hai
tera aanchal ishaare de raha hai
falak raushan sitare de raha hai
hawa sahla rahi hai us ke tan ko
wo shoala ab sharare de raha hai
khule hain phul har-su jaise koi
tera sadqa utare de raha hai
guzarne wale kab the hijr ke din
magar aashiq guzare de raha hai
junubi asia ko jaise 'akbar'
ye din koi udhaare de raha hai
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 163)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 5,6 April To Sep. 1998)
- Edition : Issue No. 5,6 April To Sep. 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.