tir pe tir nishanon pe nishane badle
tiir pe tiir nishānoñ pe nishāne badle
shukr hai husn ke andāz purāne badle
pyaar rusvā na huā aaj talak donoñ kā
ham ne milne ke na.e roz Thikāne badle
daur āzādī-e-gulshan kā bahut yaad aayā
mere hisse ke jo sayyād ne daane badle
ik mulāqāt ne dil par kiyā aisā jaadū
phir na utrā vo nasha laakh siyāne badle
dar-ba-dar Thokareñ khā kar na muqaddar badlā
mere hālāt bhī badle to ḳhudā ne badle
pahle jaisā nahīñ māhaul rahā gulshan kā
ruḳh badal ab to havāoñ ke zamāne badle
pesh kyā karte unheñ jām-e-mohabbat 'ārif'
umr ke saath ye mausam bhī suhāne badle
tir pe tir nishanon pe nishane badle
shukr hai husn ke andaz purane badle
pyar ruswa na hua aaj talak donon ka
hum ne milne ke nae roz Thikane badle
daur aazadi-e-gulshan ka bahut yaad aaya
mere hisse ke jo sayyaad ne dane badle
ek mulaqat ne dil par kiya aisa jadu
phir na utra wo nasha lakh siyane badle
dar-ba-dar Thokaren kha kar na muqaddar badla
mere haalat bhi badle to KHuda ne badle
pahle jaisa nahin mahaul raha gulshan ka
ruKH badal ab to hawaon ke zamane badle
pesh kya karte unhen jam-e-mohabbat 'arif'
umr ke sath ye mausam bhi suhane badle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.