the jo sheron mein naghmagi ki tarah
the jo sheroñ meñ naġhmagī kī tarah
dil se jaate haiñ raushnī kī tarah
jab bhī zālim vo yaad aatā hai
dil dukhātā hai chāñdnī kī tarah
haa.e vo log ham se ruuTh ga.e
jin ko chāhā thā zindagī kī tarah
jaane ye log kis jahāñ ke haiñ
jab bhī milte haiñ ajnabī kī tarah
saḳht hālāt meñ jiye jaanā
maut hai maut ḳhud-kushī kī tarah
the jo sheron mein naghmagi ki tarah
dil se jate hain raushni ki tarah
jab bhi zalim wo yaad aata hai
dil dukhata hai chandni ki tarah
hae wo log hum se ruTh gae
jin ko chaha tha zindagi ki tarah
jaane ye log kis jahan ke hain
jab bhi milte hain ajnabi ki tarah
saKHt haalat mein jiye jaana
maut hai maut KHud-kushi ki tarah
- Book : Awaz Na Do (Pg. 7)
- Author : Javed Kamal
- Publication : Sky Lark Publishers, Aligarah (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.