tere aane ki jab KHabar mahke
tere aane kī jab ḳhabar mahke
terī ḳhushbū se saarā ghar mahke
shaam mahke tire tasavvur se
shaam ke ba.ad phir sahar mahke
raat bhar sochtā rahā tujh ko
zehn-o-dil mere raat bhar mahke
yaad aa.e to dil munavvar ho
diid ho jaa.e to nazar mahke
vo ghaḌī-do-ghaḌī jahāñ baiThe
vo zamīñ mahke vo shajar mahke
tere aane ki jab KHabar mahke
teri KHushbu se sara ghar mahke
sham mahke tere tasawwur se
sham ke baad phir sahar mahke
raat bhar sochta raha tujh ko
zehn-o-dil mere raat bhar mahke
yaad aae to dil munawwar ho
did ho jae to nazar mahke
wo ghaDi-do-ghaDi jahan baiThe
wo zamin mahke wo shajar mahke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.