tere aane ka guman hota hai
tere aane kā gumāñ hotā hai
kis zamāne kā gumāñ hotā hai
sañg-rezoñ pe bhī ab chiḌiyoñ ko
daane daane kā gumāñ hotā hai
maiñ khañDar huuñ to jahāñ ko mujh meñ
ik ḳhazāne kā gumāñ hotā hai
ek tasvīr huuñ ġham kī jis par
muskurāne kā gumāñ hotā hai
peḌ kaTte haiñ to har tinke par
āshiyāne kā gumāñ hotā hai
dil kahāñ ab to kisī taa.ir ke
phaḌphaḌāne kā gumāñ hotā hai
us zamāne meñ nahīñ haiñ ham tum
jis zamāne kā gumāñ hotā hai
mai laraztī hai to duniyā tujh par
Dagmagāne kā gumāñ hotā hai
tere aane ka guman hota hai
kis zamane ka guman hota hai
sang-rezon pe bhi ab chiDiyon ko
dane dane ka guman hota hai
main khanDar hun to jahan ko mujh mein
ek KHazane ka guman hota hai
ek taswir hun gham ki jis par
muskurane ka guman hota hai
peD kaTte hain to har tinke par
aashiyane ka guman hota hai
dil kahan ab to kisi tair ke
phaDphaDane ka guman hota hai
us zamane mein nahin hain hum tum
jis zamane ka guman hota hai
mai larazti hai to duniya tujh par
Dagmagane ka guman hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.