tera KHulus-e-dil to mahall-e-nazar nahin
terā ḳhulūs-e-dil to mahall-e-nazar nahīñ
par kuchh to hai jo terī zabāñ meñ asar nahīñ
ab vo nahīñ hai jalva-e-sham-o-sahar kā rañg
terā jamāl shāmil-e-husn-e-nazar nahīñ
hai markaz-e-nigāh abhī tak vo āstāñ
ye aur baat hai ki majāl-e-safar nahīñ
uḌ bhī chaleñ to ab vo bahār-e-chaman kahāñ
haañ haañ nahīñ mujhe havas-e-bāl-o-par nahīñ
tark-e-ta.alluqāt ḳhud apnā qusūr thā
ab kyā gila ki un ko hamārī ḳhabar nahīñ
chup chaap sah rahe haiñ ki apnoñ kā jaur hai
ab ḳhuub jānte haiñ fuġhāñ kārgar nahīñ
kuchh hai to apnī zūd-yaqīnī se hai gila
tujh se to ab kalām bhī ai chārāgar nahīñ
tera KHulus-e-dil to mahall-e-nazar nahin
par kuchh to hai jo teri zaban mein asar nahin
ab wo nahin hai jalwa-e-sham-o-sahar ka rang
tera jamal shamil-e-husn-e-nazar nahin
hai markaz-e-nigah abhi tak wo aastan
ye aur baat hai ki majal-e-safar nahin
uD bhi chalen to ab wo bahaar-e-chaman kahan
han han nahin mujhe hawas-e-baal-o-par nahin
tark-e-talluqat KHud apna qusur tha
ab kya gila ki un ko hamari KHabar nahin
chup chap sah rahe hain ki apnon ka jaur hai
ab KHub jaante hain fughan kargar nahin
kuchh hai to apni zud-yaqini se hai gila
tujh se to ab kalam bhi ai chaaragar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.