tang aa gae hain kya karen is zindagi se hum
tañg aa ga.e haiñ kyā kareñ is zindagī se ham
ghabrā ke pūchhte haiñ akele meñ jī se ham
majbūriyoñ ko apnī kaheñ kyā kisī se ham
laa.e ga.e haiñ, aa.e nahīñ haiñ ḳhushī se ham
kam-baḳht dil kī maan ga.e, baiThnā paḌā
yuuñ to hazār baar uThe us galī se ham
yārab! burā bhī ho dil-e-ḳhāna-ḳharāb kā
sharmā rahe haiñ is kī badaulat kisī se ham
din hī pahāḌ hai shab-e-ġham kyā ho kyā na ho
ghabrā rahe haiñ aaj sar-e-shām hī se ham
dekhā na tum ne aañkh uThā kar bhī ek baar
guzre hazār baar tumhārī galī se ham
matlab yahī nahīñ dil-e-ḳhāna-ḳharāb kā
kahne meñ us ke aa.eñ guzar jaa.eñ jī se ham
chheḌā adū ne ruuTh ga.e saarī bazm se
bole ki ab na baat kareñge kisī se ham
tum sun ke kyā karoge kahānī ġharīb kī
jo sab kī sun rahā hai kaheñge usī se ham
mahfil meñ us ne ġhair ko pahlū meñ dī jagah
guzrī jo dil pe kyā kaheñ 'bismil' kisī se ham
tang aa gae hain kya karen is zindagi se hum
ghabra ke puchhte hain akele mein ji se hum
majburiyon ko apni kahen kya kisi se hum
lae gae hain, aae nahin hain KHushi se hum
kam-baKHt dil ki man gae, baiThna paDa
yun to hazar bar uThe us gali se hum
yarab! bura bhi ho dil-e-KHana-KHarab ka
sharma rahe hain is ki badaulat kisi se hum
din hi pahaD hai shab-e-gham kya ho kya na ho
ghabra rahe hain aaj sar-e-sham hi se hum
dekha na tum ne aankh uTha kar bhi ek bar
guzre hazar bar tumhaari gali se hum
matlab yahi nahin dil-e-KHana-KHarab ka
kahne mein us ke aaen guzar jaen ji se hum
chheDa adu ne ruTh gae sari bazm se
bole ki ab na baat karenge kisi se hum
tum sun ke kya karoge kahani gharib ki
jo sab ki sun raha hai kahenge usi se hum
mahfil mein us ne ghair ko pahlu mein di jagah
guzri jo dil pe kya kahen 'bismil' kisi se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.