tamam umr wo ehsan mujh pe karta raha
tamām 'umr vo ehsān mujh pe kartā rahā
mirī hī raakh se vo zaḳhm merā bhartā rahā
talāsh tā-ba-falak jis kī le ga.ī mujh ko
vo jab milā to mire bāl-o-par katartā rahā
zarā sī der kā kahne ko saath thā us kā
tamām 'umr mire dil meñ vo utartā rahā
maiñ us kī dhun meñ na.e rāste pe jā niklī
dayār-e-jāñ se mirī roz jo guzartā rahā
vo dil jo pyaar se jiitā thā ab ye haal huā
ki jis ne pyaar se dekhā usī se Dartā rahā
tamam 'umr wo ehsan mujh pe karta raha
meri hi rakh se wo zaKHm mera bharta raha
talash ta-ba-falak jis ki le gai mujh ko
wo jab mila to mere baal-o-par katarta raha
zara si der ka kahne ko sath tha us ka
tamam 'umr mere dil mein wo utarta raha
main us ki dhun mein nae raste pe ja nikli
dayar-e-jaan se meri roz jo guzarta raha
wo dil jo pyar se jita tha ab ye haal hua
ki jis ne pyar se dekha usi se Darta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.