suraj hun zindagi ki ramaq chhoD jaunga
sūraj huuñ zindagī kī ramaq chhoḌ jā.ūñgā
maiñ Duub bhī gayā to shafaq chhoḌ jā.ūñgā
tārīḳh-e-karbalā-e-suḳhan! dekhnā ki maiñ
ḳhūn-e-jigar se likh ke varaq chhoḌ jā.ūñgā
ik raushnī kī maut marūñgā zamīn par
jiine kā is jahān meñ haq chhoḌ jā.ūñgā
ro.eñge merī yaad meñ mahr o mah o nujūm
in ā.inoñ meñ aks-e-qalaq chhoḌ jā.ūñgā
vo os ke daraḳht lagā.ūñgā jā-ba-jā
har buuñd meñ lahū kī ramaq chhoḌ jā.ūñgā
guzrūñgā shahr-e-sañg se jab aa.ina liye
chehre khule darīchoñ meñ faq chhoḌ jā.ūñgā
pahuñchūñgā sehn-e-bāġh meñ shabnam-rutoñ ke saath
sūkhe hue guloñ meñ araq chhoḌ jā.ūñgā
har-sū lageñge mujh se sadāqat ke ishtihār
har-sū mohabbatoñ ke sabaq chhoḌ jā.ūñgā
'sājid' gulāb-chāl chalūñgā ravish ravish
dhartī pe gulistān-e-shafaq chhoḌ jā.ūñgā
suraj hun zindagi ki ramaq chhoD jaunga
main Dub bhi gaya to shafaq chhoD jaunga
tariKH-e-karbala-e-suKHan! dekhna ki main
KHun-e-jigar se likh ke waraq chhoD jaunga
ek raushni ki maut marunga zamin par
jine ka is jahan mein haq chhoD jaunga
roenge meri yaad mein mahr o mah o nujum
in aainon mein aks-e-qalaq chhoD jaunga
wo os ke daraKHt lagaunga ja-ba-ja
har bund mein lahu ki ramaq chhoD jaunga
guzrunga shahr-e-sang se jab aaina liye
chehre khule darichon mein faq chhoD jaunga
pahunchunga sehn-e-bagh mein shabnam-ruton ke sath
sukhe hue gulon mein araq chhoD jaunga
har-su lagenge mujh se sadaqat ke ishtihaar
har-su mohabbaton ke sabaq chhoD jaunga
'sajid' gulab-chaal chalunga rawish rawish
dharti pe gulistan-e-shafaq chhoD jaunga
- Book : kulliyat-e-iqbaal saajid (Pg. 137)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.