suna suna dil ka mujhe nagar lagta hai
suunā suunā dil kā mujhe nagar lagtā hai
apne saa.e se bhī aaj to Dar lagtā hai
baañT rahā hai dāman dāman merī chāhat
apnā dil bhī kisī saḳhī kā dar lagtā hai
mahrūmī ne jahāñ baserā DhūñD liyā hai
mujh ko to vo ghar bhī apnā ghar lagtā hai
merī barbādī meñ hissa hai apnoñ kā
mumkin hai ye baat ġhalat ho par lagtā hai
'josh' huuñ maiñ dīvane-pan kī us manzil meñ
jahāñ raqīb bhī apnā nāma-bar lagtā hai
suna suna dil ka mujhe nagar lagta hai
apne sae se bhi aaj to Dar lagta hai
banT raha hai daman daman meri chahat
apna dil bhi kisi saKHi ka dar lagta hai
mahrumi ne jahan basera DhunD liya hai
mujh ko to wo ghar bhi apna ghar lagta hai
meri barbaadi mein hissa hai apnon ka
mumkin hai ye baat ghalat ho par lagta hai
'josh' hun main diwane-pan ki us manzil mein
jahan raqib bhi apna nama-bar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.