Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suli chaDhe jo yar ke qad par fida na ho

Imdad Imam Asar

suli chaDhe jo yar ke qad par fida na ho

Imdad Imam Asar

MORE BYImdad Imam Asar

    suulī chaḌhe jo yaar ke qad par fidā na ho

    phāñsī chaḌhe jo qaidī-e-zulf-e-rasā na ho

    mazmūñ vo kyā jo lazzat-e-ġham se bharā na ho

    shā'ir vo kyā kalām meñ jis ke mazā na ho

    bad-nām mere vāste vo dilrubā na ho

    yā-rab 'adū ke haath se merī qazā na ho

    jab apnī koī baat baġhair-az-du'ā na ho

    dushman ke kahne sunñe se nādāñ ḳhafā na ho

    ho vo agar ḳhilāf-e-muāfiq havā na ho

    Duube vo naav jis ḳhudā nāḳhudā na ho

    dil-dādgī ko husn-e-ḳhudā-dād kam nahīñ

    nāseh agar nahīñ hai butoñ meñ vafā na ho

    roz-e-jazā vo shoḳh mile ham ko ai ḳhudā

    is ke sivā kuchh aur 'adū sazā na ho

    mushkil sāmnā ho to himmat na hāriye

    himmat hai shart sāhib-e-himmat se kyā na ho

    but āzarān-e-vaqt banā.eñ agar hazār

    terā nazīr ek bhī nām-e-ḳhudā na ho

    dhoke meñ mere qatl kyā us ne ġhair ko

    qātil kyā qusūr jo merī qazā na ho

    sach hai ki har kamāl ko duniyā meñ hai zavāl

    aisā baḌā hai kaun jo āḳhir ghaTā na ho

    roz-e-jazā se vā'iz-e-nādāñ use Darā

    sadma shab-e-firāq jis ne sahā na ho

    miltā nahīñ patā tire chhalle ke chor

    ai gul-badan ye shoḳhī-e-duzd-e-hinā na ho

    terā gila na ġhair shikva zabāñ pe hai

    kartā huuñ 'arz hāl-e-sitamgar ḳhafā na ho

    paate haiñ kaj-sarisht jazā apne fe'l

    kahtī hai rāstī ki bure bhalā na ho

    bulbul na phuul ḳhanda-e-sub.h-e-bahār par

    nādāñ kahīñ ye ḳhanda-e-dandāñ-numā na ho

    terī zabāñ pe aa.e agar harf-e-iltiyām

    kyuuñ kar shikast-e-dil ke liye momiyā na ho

    ġhāfil marīz-e-'ishq ne ḳhabar na

    thā ġhair us haal vo ab tak ho na ho

    sharminda ai karīm na hoñ 'āshiqoñ meñ ham

    pursish hamāre qatl roz-e-jazā na ho

    kartā hai ai 'asar' dil-e-ḳhūñ-gashta gila

    'āshiq vo kyā ki ḳhasta-e-teġh-e-jafā na ho

    suli chaDhe jo yar ke qad par fida na ho

    phansi chaDhe jo qaidi-e-zulf-e-rasa na ho

    mazmun wo kya jo lazzat-e-gham se bhara na ho

    sha'ir wo kya kalam mein jis ke maza na ho

    bad-nam mere waste wo dilruba na ho

    ya-rab 'adu ke hath se meri qaza na ho

    jab apni koi baat baghair-az-du'a na ho

    dushman ke kahne sunne se nadan KHafa na ho

    ho wo agar KHilaf-e-muafiq hawa na ho

    Dube wo naw jis ka KHuda naKHuda na ho

    dil-dadgi ko husn-e-KHuda-dad kam nahin

    naseh agar nahin hai buton mein wafa na ho

    roz-e-jaza wo shoKH mile hum ko ai KHuda

    is ke siwa kuchh aur 'adu ki saza na ho

    mushkil ka samna ho to himmat na haariye

    himmat hai shart sahib-e-himmat se kya na ho

    but aazaran-e-waqt banaen agar hazar

    tera nazir ek bhi nam-e-KHuda na ho

    dhoke mein mere qatl kya us ne ghair ko

    qatil ka kya qusur jo meri qaza na ho

    sach hai ki har kamal ko duniya mein hai zawal

    aisa baDa hai kaun jo aaKHir ghaTa na ho

    roz-e-jaza se wa'iz-e-nadan use Dara

    sadma shab-e-firaq ka jis ne saha na ho

    milta nahin pata tere chhalle ke chor ka

    ai gul-badan ye shoKHi-e-duzd-e-hina na ho

    tera gila na ghair ka shikwa zaban pe hai

    karta hun 'arz haal-e-sitamgar KHafa na ho

    pate hain kaj-sarisht jaza apne fe'l ki

    kahti hai rasti ki bure ka bhala na ho

    bulbul na phul KHanda-e-subh-e-bahaar par

    nadan kahin ye KHanda-e-dandan-numa na ho

    teri zaban pe aae agar harf-e-iltiyam

    kyun kar shikast-e-dil ke liye momiya na ho

    ghafil mariz-e-'ishq ki tu ne KHabar na li

    tha ghair us ka haal wo ab tak ho ya na ho

    sharminda ai karim na hon 'ashiqon mein hum

    pursish hamare qatl ki roz-e-jaza na ho

    karta hai ai 'asar' dil-e-KHun-gashta ka gila

    'ashiq wo kya ki KHasta-e-tegh-e-jafa na ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now