sukut-e-sham ka hissa tu mat bana mujhko
sukūt-e-shām kā hissa tū mat banā mujh ko
maiñ rang huuñ so kisī mauj meñ milā mujh ko
maiñ in dinoñ tirī āñkhoñ ke iḳhtiyār meñ huuñ
jamāl-e-sabz kisī tajrabe meñ lā mujh ko
maiñ būḌhe jism kī zillat uThā nahīñ saktā
kisī qadīm tajallī se kar nayā mujh ko
maiñ apne hone kī takmīl chāhtā huuñ sakhī
so ab badan kī hirāsat se kar rihā mujh ko
mujhe charāġh kī hairat bhī ho chukī mā'lūm
ab is se aage koī rāsta batā mujh ko
us ism-e-ḳhās kī tarkīb se banā huuñ maiñ
mohabbatoñ ke talaffuz se kar nayā mujh ko
darūn-e-sīna jise dil samajh rahā thā 'alī'
vo niilī aag hai ye ab patā chalā mujh ko
sukut-e-sham ka hissa tu mat bana mujh ko
main rang hun so kisi mauj mein mila mujh ko
main in dinon teri aankhon ke iKHtiyar mein hun
jamal-e-sabz kisi tajrabe mein la mujh ko
main buDhe jism ki zillat uTha nahin sakta
kisi qadim tajalli se kar naya mujh ko
main apne hone ki takmil chahta hun sakhi
so ab badan ki hirasat se kar riha mujh ko
mujhe charagh ki hairat bhi ho chuki ma'lum
ab is se aage koi rasta bata mujh ko
us ism-e-KHas ki tarkib se bana hun main
mohabbaton ke talaffuz se kar naya mujh ko
darun-e-sina jise dil samajh raha tha 'ali'
wo nili aag hai ye ab pata chala mujh ko
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 26.09.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.