Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shukr kiya hai in peDon ne sabr ki aadat Dali hai

Zulfiqar Aadil

shukr kiya hai in peDon ne sabr ki aadat Dali hai

Zulfiqar Aadil

MORE BYZulfiqar Aadil

    shukr kiyā hai in peḌoñ ne sabr aadat Daalī hai

    is manzar ko ġhaur se dekho bārish hone vaalī hai

    sochā ye thā vaqt milā to TuuTī chīzeñ joḌeñge

    ab kone meñ Dher lagā hai baaqī kamrā ḳhālī hai

    baiThe baiThe pheñk diyā hai ātish-dān meñ kyā kyā kuchh

    mausam itnā sard nahīñ thā jitnī aag jalā hai

    apnī marzī se sab chīzeñ ghūmtī phirtī rahtī haiñ

    be-tartībī ne is ghar meñ itnī jagah banā hai

    der se qufl paḌā darvāza ik dīvār lagtā thā

    us par ek khule darvāze tasvīr lagā hai

    har hasrat par ek girah paḌ jaatī thī siine meñ

    rafta rafta sab ne mil kar dil shakl banā hai

    uupar sab kuchh jal jā.egā kaun madad ko aa.egā

    jis manzil par aag lagī hai sab se nīche vaalī hai

    ik kamrā sāyoñ se bharā hai ik kamrā āvāzoñ se

    āñgan meñ kuchh ḳhvāb paḌe haiñ vaise ye ghar ḳhālī hai

    pairoñ ko to dasht bhī kam hai sar ko dasht-navardī bhī

    'ādil' ham se chādar jitnī phail sakī phailā hai

    shukr kiya hai in peDon ne sabr ki aadat Dali hai

    is manzar ko ghaur se dekho barish hone wali hai

    socha ye tha waqt mila to TuTi chizen joDenge

    ab kone mein Dher laga hai baqi kamra KHali hai

    baiThe baiThe phenk diya hai aatish-dan mein kya kya kuchh

    mausam itna sard nahin tha jitni aag jala li hai

    apni marzi se sab chizen ghumti phirti rahti hain

    be-tartibi ne is ghar mein itni jagah bana li hai

    der se qufl paDa darwaza ek diwar hi lagta tha

    us par ek khule darwaze ki taswir laga li hai

    har hasrat par ek girah si paD jati thi sine mein

    rafta rafta sab ne mil kar dil si shakl bana li hai

    upar sab kuchh jal jaega kaun madad ko aaega

    jis manzil par aag lagi hai sab se niche wali hai

    ek kamra sayon se bhara hai ek kamra aawazon se

    aangan mein kuchh KHwab paDe hain waise ye ghar KHali hai

    pairon ko to dasht bhi kam hai sar ko dasht-nawardi bhi

    'adil' hum se chadar jitni phail saki phaila li hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now