Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shauq barahna-pa chalta tha aur raste pathrile the

Ghulam Mohammad Qasir

shauq barahna-pa chalta tha aur raste pathrile the

Ghulam Mohammad Qasir

MORE BYGhulam Mohammad Qasir

    shauq barahna-pā chaltā thā aur raste pathrīle the

    ghiste ghiste ghis ga.e āḳhir kankar jo nokīle the

    ḳhār-e-chaman the shabnam shabnam phuul bhī saare giile the

    shāḳh se TuuT ke girne vaale patte phir bhī piile the

    sard havāoñ se to the sāhil ke ret ke yārāne

    ke thapeḌe sahne vaale sahrāoñ ke Tiile the

    tābinda tāroñ tohfa sub.h ḳhidmat meñ pahuñchā

    raat ne chāñd nazr kiye jo taare kam chamkīle the

    saare sapere vīrānoñ meñ ghuum rahe haiñ biin liye

    ābādī meñ rahne vaale saañp baḌe zahrīle the

    tum yuuñ nārāz hue ho varna mai-ḳhāne patā

    ham ne har us shaḳhs se pūchhā jis ke nain nashīle the

    kaun ġhulām mohammad 'qāsir' bechāre se kartā baat

    ye chālākoñ bastī thī aur hazrat sharmīle the

    shauq barahna-pa chalta tha aur raste pathrile the

    ghiste ghiste ghis gae aaKHir kankar jo nokile the

    KHar-e-chaman the shabnam shabnam phul bhi sare gile the

    shaKH se TuT ke girne wale patte phir bhi pile the

    sard hawaon se to the sahil ke ret ke yarane

    lu ke thapeDe sahne wale sahraon ke Tile the

    tabinda taron ka tohfa subh ki KHidmat mein pahuncha

    raat ne chand ki nazr kiye jo tare kam chamkile the

    sare sapere viranon mein ghum rahe hain bin liye

    aabaadi mein rahne wale sanp baDe zahrile the

    tum yun hi naraaz hue ho warna mai-KHane ka pata

    hum ne har us shaKHs se puchha jis ke nain nashile the

    kaun ghulam mohammad 'qasir' bechaare se karta baat

    ye chaalakon ki basti thi aur hazrat sharmile the

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ghulam Mohammad Qasir

    Ghulam Mohammad Qasir

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now