sharīk-e-ḳhalvat-e-ḳhūñ-bār thoḌī hotā hai
ye shahr ġham kaa, nigah-dār thoḌī hotā hai
shikast o fat.h ke asbāb tai-shuda to nahīñ
jo ek baar ho, har baar thoḌī hotā hai
hai ek vaqt muqarrar, vagarna duniyā meñ
koī zavāl pe tayyār thoḌī hotā hai
fareb-e-da.avā-guzārī hai, mas.ala kuchh aur
sabhī ko 'ishq kā āzār thoḌī hotā hai
lahū kī taal pe āġhāz raqs karte hue
idhar udhar se sarokār thoḌī hotā hai
ulaTnā chāhe jo kār-e-munāfiqat kā naqāb
ye shahr! is kā taraf-dār thoḌī hotā hai
lakīreñ khīñchte rahne se ban ga.ī tasvīr
koī bhī kaam ho, be-kār thoḌī hotā hai
sharik-e-KHalwat-e-KHun-bar thoDi hota hai
ye shahr gham ka, nigah-dar thoDi hota hai
shikast o fath ke asbab tai-shuda to nahin
jo ek bar ho, har bar thoDi hota hai
hai ek waqt muqarrar, wagarna duniya mein
koi zawal pe tayyar thoDi hota hai
fareb-e-dawa-guzari hai, masala kuchh aur
sabhi ko 'ishq ka aazar thoDi hota hai
lahu ki tal pe aaghaz raqs karte hue
idhar udhar se sarokar thoDi hota hai
ulaTna chahe jo kar-e-munafiqat ka naqab
ye shahr! is ka taraf-dar thoDi hota hai
lakiren khinchte rahne se ban gai taswir
koi bhi kaam ho, be-kar thoDi hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.