shahron ki KHak chhan kar aaya hun ganw mein
shahroñ kī ḳhaak chhān kar aayā huuñ gaañv meñ
kitnā sukūñ milā hai daraḳhtoñ kī chhāñv meñ
vo aa rahā hai merī taraf reñgtā huā
kāñTā talab kā chubh gayā patthar ke paañv meñ
ab us ke jism par bhī muzayyan haiñ dhajjiyāñ
jis kā shumār thā kabhī rañgīñ qabāoñ meñ
detā rahā pahāḌ kī choTī se vo sadā
us kī sadā.eñ kho ga.iiñ ūñchī fazāoñ meñ
sabza sā ek shahr pe bikhrā hai chār-sū
pattoñ ke rañg ghul ga.e ThanDī havāoñ meñ
'betāb' laḌkiyoñ kī jasārat to dekhiye
ḳhud ko shumār kartī haiñ sab apsarāoñ meñ
shahron ki KHak chhan kar aaya hun ganw mein
kitna sukun mila hai daraKHton ki chhanw mein
wo aa raha hai meri taraf rengta hua
kanTa talab ka chubh gaya patthar ke panw mein
ab us ke jism par bhi muzayyan hain dhajjiyan
jis ka shumar tha kabhi rangin qabaon mein
deta raha pahaD ki choTi se wo sada
us ki sadaen kho gain unchi fazaon mein
sabza sa ek shahr pe bikhra hai chaar-su
patton ke rang ghul gae ThanDi hawaon mein
'betab' laDkiyon ki jasarat to dekhiye
KHud ko shumar karti hain sab apsaraon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.