Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr-e-fasl-e-gul se chal kar pattharon ke darmiyan

Bashir Farooqi

shahr-e-fasl-e-gul se chal kar pattharon ke darmiyan

Bashir Farooqi

MORE BYBashir Farooqi

    shahr-e-fasl-e-gul se chal kar pattharoñ ke darmiyāñ

    zindagī aa kabhī ham be-gharoñ ke darmiyāñ

    maiñ huuñ vo tasvīr jis meñ hādse bharte haiñ rang

    ḳhāl-o-ḳhat khulte haiñ mere ḳhanjaroñ ke darmiyāñ

    pahle ham ne ghar banā kar fāsle paidā kiye

    phir uThā diiñ aur dīvāreñ gharoñ ke darmiyāñ

    ahd-e-hāzir meñ uḳhuvvat tasavvur hai magar

    tazkaroñ meñ kāġhazoñ par rahbaroñ ke darmiyāñ

    un shahīdān-e-vafā ke naam mere sab suḳhan

    sar-bulandī jin ko hāsil hai saroñ ke darmiyāñ

    kaisā fan kaisī zehānat ye zamāna aur hai

    siikh lo kuchh sho'bde bāzīgaroñ ke darmiyāñ

    uḌ gayā to shāḳh saarā badan jalne lagā

    dhuup rakh thī parinde ne paroñ ke darmiyāñ

    ye jo ḳhāna hai sukūnat yahāñ likh do 'bashīr'

    phuul huuñ lekin khilā huuñ pattharoñ ke darmiyāñ

    shahr-e-fasl-e-gul se chal kar pattharon ke darmiyan

    zindagi aa ja kabhi hum be-gharon ke darmiyan

    main hun wo taswir jis mein hadse bharte hain rang

    KHal-o-KHat khulte hain mere KHanjaron ke darmiyan

    pahle hum ne ghar bana kar fasle paida kiye

    phir uTha din aur diwaren gharon ke darmiyan

    ahd-e-hazir mein uKHuwwat ka tasawwur hai magar

    tazkaron mein kaghazon par rahbaron ke darmiyan

    un shahidan-e-wafa ke nam mere sab suKHan

    sar-bulandi jin ko hasil hai saron ke darmiyan

    kaisa fan kaisi zehanat ye zamana aur hai

    sikh lo kuchh sho'bde bazigaron ke darmiyan

    uD gaya to shaKH ka sara badan jalne laga

    dhup rakh li thi parinde ne paron ke darmiyan

    ye jo KHana hai sukunat ka yahan likh do 'bashir'

    phul hun lekin khila hun pattharon ke darmiyan

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now