shafaq se baam-e-falak lala-gun bhi hota hai
shafaq se bām-e-falak lāla-gūñ bhī hotā hai
tulūa hone meñ sūraj kā ḳhuuñ bhī hotā hai
mire qarīb na aa mujh se ehtiyāt barat
ḳhirad ke saath mujhe kuchh junūñ bhī hotā hai
har ek sar ko nahīñ rahtī hājat-e-shāna
koī koī sar-e-neza fuzūñ bhī hotā hai
sunā hai maiñ ne aziyyat maza bhī detī hai
sunā hai dil kī ḳhalish meñ sakūñ bhī hotā hai
ga.e vo din ki ajab kaifiyat sī rahtī thī
maiñ sochtā thā mohabbat meñ yuuñ bhī hotā hai
shafaq se baam-e-falak lala-gun bhi hota hai
tulua hone mein suraj ka KHun bhi hota hai
mere qarib na aa mujh se ehtiyat barat
KHirad ke sath mujhe kuchh junun bhi hota hai
har ek sar ko nahin rahti hajat-e-shana
koi koi sar-e-neza fuzun bhi hota hai
suna hai main ne aziyyat maza bhi deti hai
suna hai dil ki KHalish mein sakun bhi hota hai
gae wo din ki ajab kaifiyat si rahti thi
main sochta tha mohabbat mein yun bhi hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.