shab Dhali meri aur sahar na hui
shab Dhalī merī aur sahar na huī
had huī aap ko ḳhabar na huī
aap kahte the pur-ḳhatar jitnī
saḳht utnī bhī rahguzar na huī
rah gayā dard dil ke pahlū meñ
ye jo ulfat thī dard-e-sar na huī
vaqt-e-āḳhir khulā hai ye uqda
bholī sūrat bhī be-zarar na huī
kyā se kyā kah rahe haiñ aap 'sirāj'
aap kī baat bārvar na huī
shab Dhali meri aur sahar na hui
had hui aap ko KHabar na hui
aap kahte the pur-KHatar jitni
saKHt utni bhi rahguzar na hui
rah gaya dard dil ke pahlu mein
ye jo ulfat thi dard-e-sar na hui
waqt-e-aKHir khula hai ye uqda
bholi surat bhi be-zarar na hui
kya se kya kah rahe hain aap 'siraj'
aap ki baat barwar na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.