shaam se aaj saañs bhārī hai
be-qarārī sī be-qarārī hai
aap ke ba.ad har ghaḌī ham ne
aap ke saath hī guzārī hai
raat ko de do chāñdnī kī ridā
din kī chādar abhī utārī hai
shāḳh par koī qahqaha to khile
kaisī chup sī chaman meñ taarī hai
kal kā har vāqi.a tumhārā thā
aaj kī dāstāñ hamārī hai
sham se aaj sans bhaari hai
be-qarari si be-qarari hai
aap ke baad har ghaDi hum ne
aap ke sath hi guzari hai
raat ko de do chandni ki rida
din ki chadar abhi utari hai
shaKH par koi qahqaha to khile
kaisi chup si chaman mein tari hai
kal ka har waqia tumhaara tha
aaj ki dastan hamari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.