sar-e-firaq bhi tark-e-ana nahin hoti
sar-e-firāq bhī tark-e-anā nahīñ hotī
ki TuuT jaatī hai dīvār vā nahīñ hotī
mere alāva use ḳhud se bhī mohabbat hai
aur aisā karne se vo bevafā nahīñ hotī
jab apne log mire tab hameñ samajh aaya
ki maut saare dukhoñ kī davā nahīñ hotī
ziyāda sochne se bachnā chāhiye 'mohan'
ḳhayālī zaḳhmoñ kī koī davā nahīñ hotī
sar-e-firaq bhi tark-e-ana nahin hoti
ki TuT jati hai diwar wa nahin hoti
mere alawa use KHud se bhi mohabbat hai
aur aisa karne se wo bewafa nahin hoti
jab apne log mere tab hamein samajh aaya
ki maut sare dukhon ki dawa nahin hoti
ziyaada sochne se bachna chahiye 'mohan'
KHayali zaKHmon ki koi dawa nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.