sapne ki wadi ko taj kar rup-nagar mein aaya kar
sapne kī vaadī ko taj kar rūp-nagar meñ aayā kar
din ke phaile kāġhaz par apnī tasvīr banāyā kar
dhuup kaḌī hai nañgā sar hī sahrāoñ se guzrūñgā
apne dupaTTe ke pallū kā mere sar par saayā kar
ek samundar kī maujoñ ko ek bhañvar meñ rahne de
niilī āñkhoñ ke sāgar ko aise mat chhalkāyā kar
hoñT kī surḳhī jhāñk uThtī hai shīshe ke paimānoñ se
miTTī ke bartan meñ paanī pī kar pyaas bujhāyā kar
dil kī āvāzoñ kā gumbad ābādī meñ phahTtā hai
duur kisī ḳhāmosh kueñ meñ muñh laTkā kar gaayā kar
biis baras se ik taare par man kī jot jagātā huuñ
dīvālī kī raat ko tū bhī koī diyā jalāyā kar
'mājid' ne bairāg liyā hai koī aisī baat nahīñ
idhar udhar kī bāteñ kar ke logoñ ko samjhāyā kar
sapne ki wadi ko taj kar rup-nagar mein aaya kar
din ke phaile kaghaz par apni taswir banaya kar
dhup kaDi hai nanga sar hi sahraon se guzrunga
apne dupaTTe ke pallu ka mere sar par saya kar
ek samundar ki maujon ko ek bhanwar mein rahne de
nili aankhon ke sagar ko aise mat chhalkaya kar
honT ki surKHi jhank uThti hai shishe ke paimanon se
miTTi ke bartan mein pani pi kar pyas bujhaya kar
dil ki aawazon ka gumbad aabaadi mein phahTta hai
dur kisi KHamosh kuen mein munh laTka kar gaya kar
bis baras se ek tare par man ki jot jagata hun
diwali ki raat ko tu bhi koi diya jalaya kar
'majid' ne bairag liya hai koi aisi baat nahin
idhar udhar ki baaten kar ke logon ko samjhaya kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.