sannaTe ka dard nikhaara karta hun
sannāTe kā dard nikhārā kartā huuñ
ḳhud ko ḳhāmoshī se pukārā kartā huuñ
tanhā.ī jab ā.īna dikhlātī hai
apnī zaat kā pahroñ nazāra kartā huuñ
āvāzoñ kā bojh uThā.e sadiyoñ se
banjāroñ kī tarah guzāra kartā huuñ
ḳhvāboñ ke sunsān jazīroñ meñ jā kar
vīrānī se zikr tumhārā kartā huuñ
jab se nīndeñ lauT ga.iiñ tāroñ kī taraf
jāgte meñ zaḳhmoñ ko sañvārā kartā huuñ
sannaTe ka dard nikhaara karta hun
KHud ko KHamoshi se pukara karta hun
tanhai jab aaina dikhlati hai
apni zat ka pahron nazara karta hun
aawazon ka bojh uThae sadiyon se
banjaron ki tarah guzara karta hun
KHwabon ke sunsan jaziron mein ja kar
virani se zikr tumhaara karta hun
jab se ninden lauT gain taron ki taraf
jagte mein zaKHmon ko sanwara karta hun
- Book : shab-khoon(web site) (Pg. 62)
- Edition : 38
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.