samajh mein KHak ye jadugari nahin aati
samajh meñ ḳhaak ye jādūgarī nahīñ aatī
charāġh jalte haiñ aur raushnī nahīñ aatī
kisī ke naaz pe afsurda-ḳhātirī dil kī
hañsī kī baat hai phir bhī hañsī nahīñ aatī
na pūchh hai.at-e-tarf-o-chaman ki aisī bhī
bahār baaġh meñ bahkī huī nahīñ aatī
hujūm-e-aish to in tīra-bastiyoñ meñ kahāñ
kahīñ se aah kī āvāz bhī nahīñ aatī
judā.iyoñ se shikāyat to ho bhī jaatī hai
rifāqatoñ se vafā meñ kamī nahīñ aatī
kuchh aisā mahv hai asbāb-e-ranj-o-aish meñ dil
ki aish o ranj kī pahchān hī nahīñ aatī
sazā ye hai ki raheñ chashm-e-lutf se mahrūm
ḳhatā ye hai ki havas peshgī nahīñ aatī
ḳhudā rakhe tirī mahfil kī raunaqeñ ābād
nazārgī se nazar meñ kamī nahīñ aatī
baḌī talāsh se miltī hai zindagī ai dost
qazā kī tarah patā pūchhtī nahīñ aatī
samajh mein KHak ye jadugari nahin aati
charagh jalte hain aur raushni nahin aati
kisi ke naz pe afsurda-KHatiri dil ki
hansi ki baat hai phir bhi hansi nahin aati
na puchh haiat-e-tarf-o-chaman ki aisi bhi
bahaar bagh mein bahki hui nahin aati
hujum-e-aish to in tira-bastiyon mein kahan
kahin se aah ki aawaz bhi nahin aati
judaiyon se shikayat to ho bhi jati hai
rifaqaton se wafa mein kami nahin aati
kuchh aisa mahw hai asbab-e-ranj-o-aish mein dil
ki aish o ranj ki pahchan hi nahin aati
saza ye hai ki rahen chashm-e-lutf se mahrum
KHata ye hai ki hawas peshgi nahin aati
KHuda rakhe teri mahfil ki raunaqen aabaad
nazargi se nazar mein kami nahin aati
baDi talash se milti hai zindagi ai dost
qaza ki tarah pata puchhti nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.