saliqa bolne ka ho to bolo
salīqa bolne kā ho to bolo
nahīñ to chup bhalī hai lab na kholo
ḳhamoshī kā koī to bhed kholo
jo lab khulte nahīñ āñkhoñ se bolo
adāvat koī paimāna nahīñ hai
mohabbat ko mohabbat hī se tolo
qayādat kā ye matlab to nahīñ hai
ki jo aage ho us ke saath ho lo
bahut se ġham chhupe hoñge hañsī meñ
zarā in hañsne vāloñ ko TaTolo
jab āñkheñ mich ga.iiñ tab aa ke bole
sirhāne ham khaḌe haiñ dekh to lo
baḌī qātil nazar kā sāmnā hai
'vaqār' ab jaan o dil se haath dho lo
saliqa bolne ka ho to bolo
nahin to chup bhali hai lab na kholo
KHamoshi ka koi to bhed kholo
jo lab khulte nahin aankhon se bolo
adawat koi paimana nahin hai
mohabbat ko mohabbat hi se tolo
qayaadat ka ye matlab to nahin hai
ki jo aage ho us ke sath ho lo
bahut se gham chhupe honge hansi mein
zara in hansne walon ko TaTolo
jab aankhen mich gain tab aa ke bole
sirhane hum khaDe hain dekh to lo
baDi qatil nazar ka samna hai
'waqar' ab jaan o dil se hath dho lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.