saKHt viran hai jahan tere baad
saḳht vīrāñ hai jahāñ tere baad
koī tujh sā hai kahāñ tere baad
kab talak āh-o-fuġhāñ tere baad
ḳhema-e-dil hai dhuāñ tere baad
jaane kis shahr meñ ābād hai tū
ham haiñ barbād yahāñ tere baad
hijrateñ kar ga.e imkāñ ke tuyūr
ab yaqīñ hai na gumāñ tere baad
aisā aalam bhī na dekhā thā kabhī
ḳhālī ḳhālī hai makāñ tere baad
saKHt viran hai jahan tere baad
koi tujh sa hai kahan tere baad
kab talak aah-o-fughan tere baad
KHema-e-dil hai dhuan tere baad
jaane kis shahr mein aabaad hai tu
hum hain barbaad yahan tere baad
hijraten kar gae imkan ke tuyur
ab yaqin hai na guman tere baad
aisa aalam bhi na dekha tha kabhi
KHali KHali hai makan tere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.