sair karne se hawa lene se
sair karne se havā lene se
kaam hai dil ko maza lene se
dhuup saa.e kī tarah phail ga.ī
in daraḳhtoñ kī duā lene se
is tarah haal koī chhuptā hai
is tarah zaḳhm chhupā lene se
koī maqbūl duā hotī hai
sirf hāthoñ ko uThā lene se
mere jaisā vo nahīñ ho saktā
merā andāz churā lene se
raat kuchh achchhī guzar jaatī hai
chāñd ko chhat pe bulā lene se
vaqt be-vaqt kā āzār milā
vaqt ko saath lagā lene se
aaj bhī naam vahī hai apnā
kyā huā naam kamā lene se
sair karne se hawa lene se
kaam hai dil ko maza lene se
dhup sae ki tarah phail gai
in daraKHton ki dua lene se
is tarah haal koi chhupta hai
is tarah zaKHm chhupa lene se
koi maqbul dua hoti hai
sirf hathon ko uTha lene se
mere jaisa wo nahin ho sakta
mera andaz chura lene se
raat kuchh achchhi guzar jati hai
chand ko chhat pe bula lene se
waqt be-waqt ka aazar mila
waqt ko sath laga lene se
aaj bhi nam wahi hai apna
kya hua nam kama lene se
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 86)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.