sabhon se yun to hai dil aap ka KHush
sabhoñ se yuuñ to hai dil aap kā ḳhush
agar pūchho to hai ham se hī nā-ḳhush
ḳhushī terī hī hai manzūr ham ko
balā se gar koī nā-ḳhush ho yā ḳhush
ravāq-e-chashm o qasr-e-dil kiyā sair
na kī par aap ne yaañ koī jā ḳhush
jafā kar yā vafā muḳhtār hai tū
mujhe yaksāñ hai kyā nā-ḳhush hai kyā ḳhush
nahīñ us meñ to ġhair-az-jaur lekin
mujhe kyā jaane kyā aa.ī adā ḳhush
kiyā hai garche nā-ḳhush tū ne ham ko
rakhe par ai butāñ tum ko ḳhudā ḳhush
ḳhushī hai sab ko roz-e-īd kī yaañ
hue haiñ mil ke bāham āshnā ḳhush
bhalā kuchh bhī munāsib hai mirī jaañ
ki ho tū aaj ke din mujh se nā-ḳhush
batā aisī koī tadbīr 'bedār'
ki jis se hove merā dilrubā ḳhush
sabhon se yun to hai dil aap ka KHush
agar puchho to hai hum se hi na-KHush
KHushi teri hi hai manzur hum ko
bala se gar koi na-KHush ho ya KHush
rawaq-e-chashm o qasr-e-dil kiya sair
na ki par aap ne yan koi ja KHush
jafa kar ya wafa muKHtar hai tu
mujhe yaksan hai kya na-KHush hai kya KHush
nahin us mein to ghair-az-jaur lekin
mujhe kya jaane kya aai ada KHush
kiya hai garche na-KHush tu ne hum ko
rakhe par ai butan tum ko KHuda KHush
KHushi hai sab ko roz-e-id ki yan
hue hain mil ke baham aashna KHush
bhala kuchh bhi munasib hai meri jaan
ki ho tu aaj ke din mujh se na-KHush
bata aisi koi tadbir 'bedar'
ki jis se howe mera dilruba KHush
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.