saneha ye bhi ek roz kar jaunga
sāneha ye bhī ik roz kar jā.ūñgā
vaqt kī pālkī se utar jā.ūñgā
apne TuuTe hue ḳhvāb kī kirchiyāñ
terī āsūda āñkhoñ meñ bhar jā.ūñgā
raushnī ke safīne bulāte raheñ
sāhil-e-shab se ho kar guzar jā.ūñgā
ajnabī vādiyāñ koī manzil na ghar
rāste meñ kahīñ bhī utar jā.ūñgā
mere dushman ke dil meñ jo barsoñ se hai
vo ḳhalā bhī maiñ ik roz bhar jā.ūñgā
dostoñ se mulāqāt kī shaam hai
ye sazā kaaT kar apne ghar jā.ūñgā
saneha ye bhi ek roz kar jaunga
waqt ki palki se utar jaunga
apne TuTe hue KHwab ki kirchiyan
teri aasuda aankhon mein bhar jaunga
raushni ke safine bulate rahen
sahil-e-shab se ho kar guzar jaunga
ajnabi wadiyan koi manzil na ghar
raste mein kahin bhi utar jaunga
mere dushman ke dil mein jo barson se hai
wo KHala bhi main ek roz bhar jaunga
doston se mulaqat ki sham hai
ye saza kaT kar apne ghar jaunga
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 120)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.