sal ye kaun sa naya hai mujhe
saal ye kaun sā nayā hai mujhe
vo hī guzrā guzārnā hai mujhe
chauk uThtā huuñ aañkh lagte hī
koī saaya pukārtā hai mujhe
kyuuñ batātā nahīñ koī kuchh bhī
āḳhir aisā bhī kyā huā hai mujhe
tab bhī raushan thā lams se tere
varna kab ishq ne chhuā hai mujhe
ādatan hī udaas rahtā huuñ
varna kis baat kā gila hai mujhe
ab ke andar ke ghup añdheroñ meñ
ek sūraj ujālnā hai mujhe
mustaqil chup se āsmāñ kī tarah
ek din ḳhud pe TūTnā hai mujhe
merī turbat pe phuul rakhkar ab
vo haqīqat batā rahā hai mujhe
kyā zarūrat hai mujh ko chehre kī
kaun chehre se jāntā hai mujhe
sal ye kaun sa naya hai mujhe
wo hi guzra guzarna hai mujhe
chauk uThta hun aankh lagte hi
koi saya pukarta hai mujhe
kyun batata nahin koi kuchh bhi
aaKHir aisa bhi kya hua hai mujhe
tab bhi raushan tha lams se tere
warna kab ishq ne chhua hai mujhe
aadatan hi udas rahta hun
warna kis baat ka gila hai mujhe
ab ke andar ke ghup andheron mein
ek suraj ujalna hai mujhe
mustaqil chup se aasman ki tarah
ek din KHud pe TuTna hai mujhe
meri turbat pe phul rakhkar ab
wo haqiqat bata raha hai mujhe
kya zarurat hai mujh ko chehre ki
kaun chehre se jaanta hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.