ruKH pe gesu jo bikhar jaenge
ruḳh pe gesū jo bikhar jā.eñge
ham añdhere meñ kidhar jā.eñge
apne shāne pe na zulfeñ chhoḌo
dil ke shīrāze bikhar jā.eñge
yaar aayā na agar va.ade par
ham to be-maut ke mar jā.eñge
apne hāthoñ se pilā de saaqī
rind ik ghūñT meñ tar jā.eñge
qāfile vaqt ke rafta rafta
kisī manzil pe Thahar jā.eñge
muskurāne kī zarūrat kyā hai
marne vaale yūñhī mar jā.eñge
ho na māyūs ḳhudā se 'bismil'
ye bure din bhī guzar jā.eñge
ruKH pe gesu jo bikhar jaenge
hum andhere mein kidhar jaenge
apne shane pe na zulfen chhoDo
dil ke shiraaze bikhar jaenge
yar aaya na agar wade par
hum to be-maut ke mar jaenge
apne hathon se pila de saqi
rind ek ghunT mein tar jaenge
qafile waqt ke rafta rafta
kisi manzil pe Thahar jaenge
muskurane ki zarurat kya hai
marne wale yunhi mar jaenge
ho na mayus KHuda se 'bismil'
ye bure din bhi guzar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.