roz tabdil hua hai mere dil ka mausam
roz tabdīl huā hai mire dil kā mausam
roz kamre meñ mire sard havā aa.ī hai
fikr kī aañch meñ pighle to ye mā'lūm huā
kitne pardoñ meñ chhupī zaat kī sachchā.ī hai
roz āñkhoñ meñ utar jaatā hai ḳhanjar koī
in dinoñ ahl-e-nazar ko ġham-e-bīnā.ī hai
mere chehre se jo paḌh sakte ho paḌh lo yaaro
dil kī har baat mire lab pe kahāñ aa.ī hai
apne kāñdhe pe liye phirtī hai ehsās kā bojh
zindagī kyā kisī maqtal kī tamannā.ī hai
kyuuñ na 'tanvīr' phir iz.hār kī jur.at kiije
ḳhāmushī bhī to yahāñ bā.is-e-rusvā.ī hai
roz tabdil hua hai mere dil ka mausam
roz kamre mein mere sard hawa aai hai
fikr ki aanch mein pighle to ye ma'lum hua
kitne pardon mein chhupi zat ki sachchai hai
roz aankhon mein utar jata hai KHanjar koi
in dinon ahl-e-nazar ko gham-e-binai hai
mere chehre se jo paDh sakte ho paDh lo yaro
dil ki har baat mere lab pe kahan aai hai
apne kandhe pe liye phirti hai ehsas ka bojh
zindagi kya kisi maqtal ki tamannai hai
kyun na 'tanwir' phir izhaar ki jurat kije
KHamushi bhi to yahan bais-e-ruswai hai
- Book : shab khuun (48) (rekhta website) (Pg. 59)
- Edition : 1970
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.