rona wahi jo KHauf-e-ilahi se roiye
ronā vahī jo ḳhauf-e-ilāhī se roiye
sonā vahī jo us ke tasavvur meñ soiye
kapḌe safed dho ke jo pahne to kyā huā
dhonā vahī jo dil kī siyāhī ko dhoiye
dahqāñ kī tarah daana zamīn meñ na bo abas
baunā vahī jo tuḳhm-e-amal dil meñ boiye
khoyā gayā hai shaiḳh qayāmat ke vahm meñ
khonā vahī ki aap ko aap hī meñ khoiye
'hātim' tū go ki ḳhaak huā kīmiyā kahāñ
honā vahī jo ḳhaak se iksīr huiye
rona wahi jo KHauf-e-ilahi se roiye
sona wahi jo us ke tasawwur mein soiye
kapDe safed dho ke jo pahne to kya hua
dhona wahi jo dil ki siyahi ko dhoiye
dahqan ki tarah dana zamin mein na bo abas
bauna wahi jo tuKHm-e-amal dil mein boiye
khoya gaya hai shaiKH qayamat ke wahm mein
khona wahi ki aap ko aap hi mein khoiye
'hatim' tu go ki KHak hua kimiya kahan
hona wahi jo KHak se iksir huiye
- Book : Diwan-e-Zadah (Pg. 356)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.