rang lati bhi to kis taur jabin-sai meri
rañg laatī bhī to kis taur jabīñ-sā.ī mirī
jab ḳhud us ko na thī darkār shanāsā.ī mirī
ye mirī chiiz hai so is kā bharosa hai mujhe
ḳhud mire kaam na aa.egī masīhā.ī mirī
us ne ik baar to jhāñkā bhī thā mujh meñ lekin
us se dekhī na ga.ī vus.at-e-tanhā.ī mirī
tum ye kyā soch ke guzrī thī mire maazī se
tum ye kyā soch ke shādābī uThā laa.ī mirī
bahar-e-pāyāb samajh ke yahāñ utro na abhī
merā dil ḳhud bhī nahīñ jāntā gahrā.ī mirī
terī ḳhushbū tirī tāsīr judā hai mujh se
terī miTTī se na ho pā.egī bharpā.ī mirī
rang lati bhi to kis taur jabin-sai meri
jab KHud us ko na thi darkar shanasai meri
ye meri chiz hai so is ka bharosa hai mujhe
KHud mere kaam na aaegi masihai meri
us ne ek bar to jhanka bhi tha mujh mein lekin
us se dekhi na gai wusat-e-tanhai meri
tum ye kya soch ke guzri thi mere mazi se
tum ye kya soch ke shadabi uTha lai meri
bahar-e-payab samajh ke yahan utro na abhi
mera dil KHud bhi nahin jaanta gahrai meri
teri KHushbu teri tasir juda hai mujh se
teri miTTi se na ho paegi bharpai meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.