rang kala hai na hai paikar siyah
rañg kaalā hai na hai paikar siyāh
aadmī dar-asl hai andar siyāh
ab kahāñ qaus-e-quzah ke dā.ere
ab hai tā-hadd-e-nazar manzar siyāh
kitnā kaalā ho gayā thā us kā dil
jism se niklā to thā ḳhanjar siyāh
vaqt ne sañvlā diyā saarā badan
dhīre dhīre ho gayā marmar siyāh
dhuup kaafī duur tak thī raah meñ
lamha lamha ho gayā paikar siyāh
rang kala hai na hai paikar siyah
aadmi dar-asl hai andar siyah
ab kahan qaus-e-quzah ke daere
ab hai ta-hadd-e-nazar manzar siyah
kitna kala ho gaya tha us ka dil
jism se nikla to tha KHanjar siyah
waqt ne sanwla diya sara badan
dhire dhire ho gaya marmar siyah
dhup kafi dur tak thi rah mein
lamha lamha ho gaya paikar siyah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.