raat-bhar KHwab mein jalna bhi ek bimari hai
rāt-bhar ḳhvāb meñ jalnā bhī ik bīmārī hai
ishq kī aag se bachne meñ samajhdārī hai
vaqt miltā hī nahīñ hai mujhe tanhā.ī se
jañg ḳhud se hī mirī aaj talak jaarī hai
aa.ine ghar ke sabhī TuuT chuke haiñ kab ke
rū-ba-rū ḳhud se hī honā bhī mujhe bhārī hai
merī ye baat tū maane yā na maane lekin
bin tire duniyā meñ jiinā bhī adākārī hai
dard tanhā.ī taḌap ashk mohabbat yaarī
'mīt' in sab meñ hī us ġham kī taraf-dārī hai
raat-bhar KHwab mein jalna bhi ek bimari hai
ishq ki aag se bachne mein samajhdari hai
waqt milta hi nahin hai mujhe tanhai se
jang KHud se hi meri aaj talak jari hai
aaine ghar ke sabhi TuT chuke hain kab ke
ru-ba-ru KHud se hi hona bhi mujhe bhaari hai
meri ye baat tu mane ya na mane lekin
bin tere duniya mein jina bhi adakari hai
dard tanhai taDap ashk mohabbat yari
'mit' in sab mein hi us gham ki taraf-dari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.