qaidiyon mein na kare zikr-e-gulistan koi
qaidiyoñ meñ na kare zikr-e-gulistāñ koī
le ke uḌ jaa.e na gulzār meñ zindāñ koī
dāġh-hā-e-dil-e-vīrāñ pe ta.ajjub na karo
bas bhī jaatā hai kisī vaqt bayābāñ koī
shāyad is baat pe lab mere siye jaate haiñ
aah ke saath nikal jaa.e na armāñ koī
shiddat-e-dard ne fitrat hī badal dī dil kī
naala ho jaatā hai bantā hai jo armāñ koī
saḳhtī-e-rāh-e-talab dekh ke jī chhūT gayā
'abr' vo chhoḌ chalā jāda-e-irfāñ koī
qaidiyon mein na kare zikr-e-gulistan koi
le ke uD jae na gulzar mein zindan koi
dagh-ha-e-dil-e-viran pe tajjub na karo
bas bhi jata hai kisi waqt bayaban koi
shayad is baat pe lab mere siye jate hain
aah ke sath nikal jae na arman koi
shiddat-e-dard ne fitrat hi badal di dil ki
nala ho jata hai banta hai jo arman koi
saKHti-e-rah-e-talab dekh ke ji chhuT gaya
'abr' wo chhoD chala jada-e-irfan koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.