qaid-e-dil se hai meri kakul-e-pechan nazan
qaid-e-dil se hai mirī kākul-e-pechāñ nāzāñ
aur mire qatl se hai ḳhanjar-e-mizhgāñ nāzāñ
hai mirī changul-e-vahshat se garebāñ nāzāñ
aur mirī bārish-e-ashkoñ se hai dāmāñ nāzāñ
kāfir-e-ishq huā jab se maiñ is dahr meñ huuñ
hai mire kufr se ye diin aur īmāñ nāzāñ
zaḳhm khāne se mire faḳhr-kunāñ hai ye dil
ḳhūn-e-dil se haiñ mire dīda-e-giryāñ nāzāñ
sākin-e-ḳhāna-e-zanjīr huā huuñ jab se
misl har halqa-e-zanjīr hai zindāñ nāzāñ
huuñ vo majnūñ ki mire ābla-hā-e-pā se
dasht-e-vahshat meñ hai har ḳhār-e-bayābāñ nāzāñ
mahv-e-ishq-e-shah-e-ḳhādim huuñ maiñ 'āsim' yaksar
husn par jis ke haiñ ye mere dil-o-jāñ nāzāñ
qaid-e-dil se hai meri kakul-e-pechan nazan
aur mere qatl se hai KHanjar-e-mizhgan nazan
hai meri changul-e-wahshat se gareban nazan
aur meri barish-e-ashkon se hai daman nazan
kafir-e-ishq hua jab se main is dahr mein hun
hai mere kufr se ye din aur iman nazan
zaKHm khane se mere faKHr-kunan hai ye dil
KHun-e-dil se hain mere dida-e-giryan nazan
sakin-e-KHana-e-zanjir hua hun jab se
misl har halqa-e-zanjir hai zindan nazan
hun wo majnun ki mere aabla-ha-e-pa se
dasht-e-wahshat mein hai har KHar-e-bayaban nazan
mahw-e-ishq-e-shah-e-KHadim hun main 'asim' yaksar
husn par jis ke hain ye mere dil-o-jaan nazan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.