qaba-e-jaan purani ho gai kya
qabā-e-jāñ purānī ho ga.ī kyā
haqīqat bhī kahānī ho ga.ī kyā
fasurda phir hai is bastī kā mausam
kahīñ phir nā-gahānī ho ga.ī kyā
diye ab shahr meñ raushan nahīñ haiñ
havā kī hukmarānī ho ga.ī kyā
ravābit dhuup se haiñ ab tumhāre
bahut be-sā.ebānī ho ga.ī kyā
'nasīm' us shaḳhs se mahrūm ho kar
tirī jādū-bayānī ho ga.ī kyā
qaba-e-jaan purani ho gai kya
haqiqat bhi kahani ho gai kya
fasurda phir hai is basti ka mausam
kahin phir na-gahani ho gai kya
diye ab shahr mein raushan nahin hain
hawa ki hukmarani ho gai kya
rawabit dhup se hain ab tumhaare
bahut be-saebani ho gai kya
'nasim' us shaKHs se mahrum ho kar
teri jadu-bayani ho gai kya
- Book : Aiwan (Pg. 109)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.