puchh lete wo bas mizaj mera
pūchh lete vo bas mizāj mirā
kitnā āsān thā ilaaj mirā
chāra-gar kī nazar batātī hai
haal achchhā nahīñ hai aaj mirā
maiñ to rahtā huuñ dasht meñ masrūf
qais kartā hai kām-kāj mirā
koī kaasa madad ko bhej allāh
mere bas meñ nahīñ hai taaj mirā
maiñ mohabbat kī bādshāhat huuñ
mujh pe chaltā nahīñ hai raaj mirā
puchh lete wo bas mizaj mera
kitna aasan tha ilaj mera
chaara-gar ki nazar batati hai
haal achchha nahin hai aaj mera
main to rahta hun dasht mein masruf
qais karta hai kaam-kaj mera
koi kasa madad ko bhej allah
mere bas mein nahin hai taj mera
main mohabbat ki baadshahat hun
mujh pe chalta nahin hai raj mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.