phir wahi hum hain KHayal-e-ruKH-e-zeba hai wahi
phir wahi hum hain KHayal-e-ruKH-e-zeba hai wahi
Ghulam Bhik Nairang
MORE BYGhulam Bhik Nairang
phir vahī ham haiñ ḳhayāl-e-ruḳh-e-zebā hai vahī
sar-e-shorīda vahī 'ishq kā saudā hai vahī
dāna-o-dām sambhālā mire sayyād ne phir
apnī gardan hai vahī 'ishq kā phandā hai vahī
phir lagī rahne tasavvur meñ vo mizhgān-e-darāz
rag-e-jāñ meñ ḳhalish-e-ḳhār-e-tamannā hai vahī
phir lagā rahne vahī silsila-e-nāz-o-niyāz
jalva-e-husn vahī zauq-e-tamāshā hai vahī
phir huā ham ko dil-o-dīñ kā bachānā mushkil
nigah-e-nāz kā phir ham se taqāzā hai vahī
naaz ne phir kiyā āġhāz vo andāz-e-niyāz
husn-e-jāñ-soz ko phir soz kā dā'vā hai vahī
mahv-e-dīd-e-chaman-e-shauq hai phir dīda-e-shauq
gul-e-shādāb vahī bulbul-e-shaidā hai vahī
phir chamak uTThī vo kajlā.ī huī chingārī
raḳht-e-hastī hai vahī 'ishq kā sho'la hai vahī
aarzū jī uThī phir pyaar jo us but ne kiyā
phir lab-e-yār meñ ejāz-e-masīhā hai vahī
pās-e-nāmūs ne phir ruḳhsat-e-raftan chāhī
shohrat-e-husn vahī ulfat-e-rusvā hai vahī
phir huī lailā-o-majnūñ kī hikāyat taaza
un kā 'ālam vahī 'nairañg' kā naqsha hai vahī
phir wahi hum hain KHayal-e-ruKH-e-zeba hai wahi
sar-e-shorida wahi 'ishq ka sauda hai wahi
dana-o-dam sambhaala mere sayyaad ne phir
apni gardan hai wahi 'ishq ka phanda hai wahi
phir lagi rahne tasawwur mein wo mizhgan-e-daraaz
rag-e-jaan mein KHalish-e-KHar-e-tamanna hai wahi
phir laga rahne wahi silsila-e-naz-o-niyaz
jalwa-e-husn wahi zauq-e-tamasha hai wahi
phir hua hum ko dil-o-din ka bachana mushkil
nigah-e-naz ka phir hum se taqaza hai wahi
naz ne phir kiya aaghaz wo andaz-e-niyaz
husn-e-jaan-soz ko phir soz ka da'wa hai wahi
mahw-e-did-e-chaman-e-shauq hai phir dida-e-shauq
gul-e-shadab wahi bulbul-e-shaida hai wahi
phir chamak uTThi wo kajlai hui chingari
raKHt-e-hasti hai wahi 'ishq ka sho'la hai wahi
aarzu ji uThi phir pyar jo us but ne kiya
phir lab-e-yar mein ejaz-e-masiha hai wahi
pas-e-namus ne phir ruKHsat-e-raftan chahi
shohrat-e-husn wahi ulfat-e-ruswa hai wahi
phir hui laila-o-majnun ki hikayat taza
un ka 'alam wahi 'nairang' ka naqsha hai wahi
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 387)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.