phal hai gar tu to main patthar hun teri qismat hai
phal hai gar tū to maiñ patthar huuñ tirī qismat hai
maiñ agar terā muqaddar huuñ tirī qismat hai
kuchh ġhalat likh bhī liyā hai to miTā le us ko
maiñ tire haath meñ duster huuñ tirī qismat hai
jaan ko jaan ġhanīmat to ibādat kar le
jaan huuñ jism ke andar huuñ tirī qismat hai
barf rātoñ meñ ThiThurne se to achchhā ye hai
oḌh le mujh ko maiñ chādar huuñ tirī qismat hai
tū hai pyāsā to koī fikr na kar yaar mire
shukr kar maiñ bhī samundar huuñ tirī qismat hai
mujh se ho kar to nikal aa zarā duniyā to dekh
chaar dīvārī meñ maiñ dar huuñ tirī qismat hai
pūchh us shaḳhs se maiñ jis ko nahīñ mil paayā
maiñ tujhe jitnā mayassar huuñ tirī qismat hai
phal hai gar tu to main patthar hun teri qismat hai
main agar tera muqaddar hun teri qismat hai
kuchh ghalat likh bhi liya hai to miTa le us ko
main tere hath mein duster hun teri qismat hai
jaan ko jaan ghanimat to ibaadat kar le
jaan hun jism ke andar hun teri qismat hai
barf raaton mein ThiThurne se to achchha ye hai
oDh le mujh ko main chadar hun teri qismat hai
tu hai pyasa to koi fikr na kar yar mere
shukr kar main bhi samundar hun teri qismat hai
mujh se ho kar to nikal aa zara duniya to dekh
chaar diwari mein main dar hun teri qismat hai
puchh us shaKHs se main jis ko nahin mil paya
main tujhe jitna mayassar hun teri qismat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.