paiġhām zindagī ne diyā maut kā mujhe
marne ke intizār meñ jiinā paḌā mujhe
is inqalāb kī bhī koī had hai dosto
nā-āshnā samajhte haiñ ab āshnā mujhe
kashtī pahuñch sakegī ye tā sāhil-e-murād
dhokā na de ḳhudā ke liye nā ḳhudā mujhe
vo tūl-e-umr jis meñ na ho lutf-e-zindagī
mil jaa.e misl-e-ḳhizr to kyā fā.eda mujhe
duuñ terā saath umr-e-ravāñ kis tarīq se
āñkheñ dikhā rahe haiñ tire naqsh pā mujhe
taḳhlīq-e-kā.enāt ko sochā kiyā magar
kuchh ibtidā milī na 'safī' intihā mujhe
paigham zindagi ne diya maut ka mujhe
marne ke intizar mein jina paDa mujhe
is inqalab ki bhi koi had hai dosto
na-ashna samajhte hain ab aashna mujhe
kashti pahunch sakegi ye ta sahil-e-murad
dhoka na de KHuda ke liye na KHuda mujhe
wo tul-e-umr jis mein na ho lutf-e-zindagi
mil jae misl-e-KHizr to kya faeda mujhe
dun tera sath umr-e-rawan kis tariq se
aankhen dikha rahe hain tere naqsh pa mujhe
taKHliq-e-kaenat ko socha kiya magar
kuchh ibtida mili na 'safi' intiha mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.