paas us but ke jo ġhair aa ke koī baiTh gayā
dard uTThā yā mire jis meñ ki jī baiTh gayā
ishq-e-mizhgāñ meñ hazāroñ ne gale kaTvā.e
īd-e-qurbāñ meñ jo vo le ke chhurī baiTh gayā
jab raqīb us ko batāne lage arkān-e-namāz
thaam kar dil kabhī uTThā maiñ kabhī baiTh gayā
ai jilā-sāz kabhī phir na safā.ī hogī
zañg ā.īna-e-dil meñ jo zarā baiTh gayā
dast-o-pā hote haiñ har vaar meñ lākhoñ ke do niim
haath chaurañg pe mashq us ne jo kī baiTh gayā
chashma-e-gor vo hai us se na niklā koī
us kuñ.eñ meñ jo girā Dūbte hī baiTh gayā
thaam kyūñkar nahīñ lete haiñ vo dil dekheñ to
tīr-e-nāla jo nishāne pe koī baiTh gayā
phuuT bahtā jo ye ai 'shād' to behtar hotā
phir ye ubhregā phapholā jo abhī baiTh gayā
pas us but ke jo ghair aa ke koi baiTh gaya
dard uTTha ya mere jis mein ki ji baiTh gaya
ishq-e-mizhgan mein hazaron ne gale kaTwae
id-e-qurban mein jo wo le ke chhuri baiTh gaya
jab raqib us ko batane lage arkan-e-namaz
tham kar dil kabhi uTTha main kabhi baiTh gaya
ai jila-saz kabhi phir na safai hogi
zang aaina-e-dil mein jo zara baiTh gaya
dast-o-pa hote hain har war mein lakhon ke do nim
hath chaurang pe mashq us ne jo ki baiTh gaya
chashma-e-gor wo hai us se na nikla koi
us kunen mein jo gira Dubte hi baiTh gaya
tham kyunkar nahin lete hain wo dil dekhen to
tir-e-nala jo nishane pe koi baiTh gaya
phuT bahta jo ye ai 'shad' to behtar hota
phir ye ubhrega phaphola jo abhi baiTh gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.