Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naujawan log pajame ko bura kahte hain

Khalid Irfan

naujawan log pajame ko bura kahte hain

Khalid Irfan

MORE BYKhalid Irfan

    naujavāñ log pajāme ko burā kahte haiñ

    painT phaT jaa.e to qismat likhā kahte haiñ

    apne ash.ār meñ jum.a ko jumā kahte haiñ

    aise ustād ko faḳhrushshuarā kahte haiñ

    nazm ko gift rubā.ī ko atā kahte haiñ

    sher vo ḳhud nahīñ kahte haiñ chachā kahte haiñ

    i-m-f ko samajhte haiñ ma.īshat ilaaj

    log al-kuhl ko khāñsī davā kahte haiñ

    ye to chaltī nahīñ p-m ijāzat ke baġhair

    is ko aivān-e-sadārat havā kahte haiñ

    jaane kab is meñ hameñ aag lagānī paḌ jaa.e

    ham siyāsat ke janāze ko chitā kahte haiñ

    jab se bachchoñ ko pasand aa.ī haiñ hindī filmeñ

    mujh ko abbā nahīñ kahte vo pitā kahte haiñ

    merī baarī pe hukūmat badal jaatī hai

    ab vazārat ko ġhubāre havā kahte haiñ

    load-shedding shikāyat pe dolattī maare

    log bijlī ke minister ko gadhā kahte haiñ

    bhuuk taḳhlīq talent baḌhā detī hai

    peT ḳhālī ho to ham sher nayā kahte haiñ

    naujawan log pajame ko bura kahte hain

    painT phaT jae to qismat ka likha kahte hain

    apne ashaar mein juma ko juma kahte hain

    aise ustad ko faKHrushshuara kahte hain

    nazm ko gift rubai ko ata kahte hain

    sher wo KHud nahin kahte hain chacha kahte hain

    i-m-f ko samajhte hain maishat ka ilaj

    log al-kuhl ko khansi ki dawa kahte hain

    ye to chalti nahin p-m ki ijazat ke baghair

    is ko aiwan-e-sadarat ki hawa kahte hain

    jaane kab is mein hamein aag lagani paD jae

    hum siyasat ke janaze ko chita kahte hain

    jab se bachchon ko pasand aai hain hindi filmen

    mujh ko abba nahin kahte wo pita kahte hain

    meri bari pe hukumat hi badal jati hai

    ab wazarat ko ghubare ki hawa kahte hain

    load-shedding ki shikayat pe dolatti mare

    log bijli ke minister ko gadha kahte hain

    bhuk taKHliq ka talent baDha deti hai

    peT KHali ho to hum sher naya kahte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now