naqsh Darega jangal mein
naqsh Daregā jañgal meñ
saañp milegā jañgal meñ
vahshī jaltī uñglī se
peḌ ginegā jañgal meñ
TuuT ke saaya peḌoñ se
raqs karegā jañgal meñ
ḳhud-rav paude aañsū ke
phuul khilegā jañgal meñ
chaltā-phirtā saaya bhī
ab na milegā jañgal meñ
sher guphā se niklegā
shor machegā jañgal meñ
naḳhl-e-muravvat kaTte hī
shahr ugegā jañgal meñ
bair na karnā miTTī se
qarz ugegā jañgal meñ
būḌhā totā kis kis ko
yaad karegā jañgal meñ
naqsh Darega jangal mein
sanp milega jangal mein
wahshi jalti ungli se
peD ginega jangal mein
TuT ke saya peDon se
raqs karega jangal mein
KHud-raw paude aansu ke
phul khilega jangal mein
chalta-phirta saya bhi
ab na milega jangal mein
sher gupha se niklega
shor machega jangal mein
naKHl-e-murawwat kaTte hi
shahr ugega jangal mein
bair na karna miTTi se
qarz ugega jangal mein
buDha tota kis kis ko
yaad karega jangal mein
- Book : AURAAQ (Pg. 252)
- Author : Wazir Agha, Sajjad Naqvi
- Publication : Auraaq Chauk, Urdu Bazar, Lahore (April, May 1982)
- Edition : April, May 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.