nakaam hasraton ke siwa kuchh nahin raha
nākām hasratoñ ke sivā kuchh nahīñ rahā
duniyā meñ ab dukhoñ ke sivā kuchh nahīñ rahā
ik umr ho ga.ī hai ki dil kī kitāb meñ
kuchh ḳhushk pattiyoñ ke sivā kuchh nahīñ rahā
yādeñ kuchh is tarah se samā.at pe chhā ga.iiñ
pichhlī rafāqatoñ ke sivā kuchh nahīñ rahā
lab sī liye to apne hī kamre meñ yuuñ lagā
ḳhāmosh ā.inoñ ke sivā kuchh nahīñ rahā
jazbe tamām kho ga.e lamhoñ kī dhuul meñ
ab dil meñ dhaḌkanoñ ke sivā kuchh nahīñ rahā
nakaam hasraton ke siwa kuchh nahin raha
duniya mein ab dukhon ke siwa kuchh nahin raha
ek umr ho gai hai ki dil ki kitab mein
kuchh KHushk pattiyon ke siwa kuchh nahin raha
yaaden kuchh is tarah se samaat pe chha gain
pichhli rafaqaton ke siwa kuchh nahin raha
lab si liye to apne hi kamre mein yun laga
KHamosh aainon ke siwa kuchh nahin raha
jazbe tamam kho gae lamhon ki dhul mein
ab dil mein dhaDkanon ke siwa kuchh nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.