nakaam-e-tamanna ki afsurda-dili hogi
nākām-e-tamannā kī afsurda-dilī hogī
jab kuchh bhī nahīñ hogā āḳhir ye ghaḌī hogī
gumnām koī dastak darvāza-e-dil par hai
ik yaad ko aanā thā shāyad ye vahī hogī
dopahr kī ḳhāmoshī dīvār pe girtī dhuup
ik ruuh udāsī ko phir DhūñDh rahī hogī
jab tez huī bārish vo chhat pe chalā aaya
ik shaḳhs ko aise meñ rone kī paḌī hogī
tum soch bhī saktī ho daurān-e-visāl-e-yār
ik shaḳhs ko furqat kī ḳhvāhish bhī huī hogī
pahlū meñ tire aa kar dil aur fasurda hai
ai dost gumāñ ye thā do-bālā ḳhushī hogī
ik umr kī be-kārī har kaam se mushkil hai
is daur meñ fursat bhī mehnat se kaḌī hogī
be-fikr raho yaaro maiñ aaj bhī huuñ barbād
din phir ga.e haiñ mere afvāh uḌī hogī
shā.ir kī rifāqat se mahfūz rakho ḳhud ko
us zaat kī sohbat meñ achchhī bhī burī hogī
nakaam-e-tamanna ki afsurda-dili hogi
jab kuchh bhi nahin hoga aaKHir ye ghaDi hogi
gumnam koi dastak darwaza-e-dil par hai
ek yaad ko aana tha shayad ye wahi hogi
dopahr ki KHamoshi diwar pe girti dhup
ek ruh udasi ko phir DhunDh rahi hogi
jab tez hui barish wo chhat pe chala aaya
ek shaKHs ko aise mein rone ki paDi hogi
tum soch bhi sakti ho dauran-e-visal-e-yar
ek shaKHs ko furqat ki KHwahish bhi hui hogi
pahlu mein tere aa kar dil aur fasurda hai
ai dost guman ye tha do-baala KHushi hogi
ek umr ki be-kari har kaam se mushkil hai
is daur mein fursat bhi mehnat se kaDi hogi
be-fikr raho yaro main aaj bhi hun barbaad
din phir gae hain mere afwah uDi hogi
shair ki rifaqat se mahfuz rakho KHud ko
us zat ki sohbat mein achchhi bhi buri hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.