na raha zauq-e-rang-o-bu mujhko
na rahā zauq-e-rang-o-bū mujh ko
ab na chheḌ ai bahār tū mujh ko
ab agar haiñ kahīñ to deñ āvāz
kyuuñ phirāte haiñ kū-ba-kū mujh ko
ab kisī aur kī talāsh nahīñ
hai ḳhud apnī hī justujū mujh ko
na rahā koī taar dāman meñ
ab nahīñ hājat-e-rafū mujh ko
haa.e us vaqt hāl-e-dil pūchhā
jab na thī tāb-e-guftugū mujh ko
na raha zauq-e-rang-o-bu mujh ko
ab na chheD ai bahaar tu mujh ko
ab agar hain kahin to den aawaz
kyun phiraate hain ku-ba-ku mujh ko
ab kisi aur ki talash nahin
hai KHud apni hi justuju mujh ko
na raha koi tar daman mein
ab nahin hajat-e-rafu mujh ko
hae us waqt haal-e-dil puchha
jab na thi tab-e-guftugu mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.