na mulla hun na mufti hun na waiz hun na qazi hun
na mulla hun na mufti hun na waiz hun na qazi hun
Maatam Fazl Mohammad
MORE BYMaatam Fazl Mohammad
na mullā huuñ na muftī huuñ na vaa.iz huuñ na qaazī huuñ
gunahgār o ḳhatā-kār o razā-e-haq pe raazī huuñ
jahāñ se huuñ yahāñ aayā vahāñ jā.ūñgā āḳhir ko
mirā ye haal hai yaaro na mustaqbil na maazī huuñ
maiñ huuñ nādān dūr-uftāda dānā.ī ke dīvāñ se
na saanī huuñ sahābī kā na ham-bazm-e-bayāzī huuñ
pareshāñ dil huuñ maiñ tanhā.ī se 'mātam' zamāne meñ
na ham-daurān-e-faizī huuñ na ham-asr-e-fayāzī huuñ
na mulla hun na mufti hun na waiz hun na qazi hun
gunahgar o KHata-kar o raza-e-haq pe raazi hun
jahan se hun yahan aaya wahan jaunga aaKHir ko
mera ye haal hai yaro na mustaqbil na mazi hun
main hun nadan dur-uftada danai ke diwan se
na sani hun sahabi ka na ham-bazm-e-bayazi hun
pareshan dil hun main tanhai se 'matam' zamane mein
na ham-dauran-e-faizi hun na ham-asr-e-fayazi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.